kavyanubhuti / काव्यानुभूति

Manav man ki anubhuti jab shabdo ke madhyam se ras or chandh se alankrat ho kar kagaj par utarti he to vah kavita, gajal, geet ya chopaiyo ka roop dharan kar kavyanubhuti ban jati he Avyavasthao par jab riday dravit ho kar hunkar bharne lagta he to oj kavya ho kata he or vahi riday jab kisi rupsi ke sondarya ka varnan karta he to shringar ka geet ban jana he ya najakat roop liye vah varnan gajal ho jati he Meri is krati me meri 41 sarvshreshth rachnao ka mene samavesh kiya he jo aap sudhijano ko avashya hi anandit karega is pustak ko ap meri anya kratiyo ki hi tarah prem denge iska mujhe purn vishwash he In panktiyo ke sath yah kavyanubhuti aap sabhi ko samarpit... Meri kalam se chingaria bolti he Hukumato ki sari pole kholti he Lekhni jab sach ka aaina dikhati he Tab unke anucharo ki besharmi bolti he -Shailendra jain ""shekhar""

Weitere Produkte vom selben Autor